Aaye Tere Bhawan, Dede Apni Sharan

Aaye Tere Bhawan, Dede Apni Sharan – Lyrics in English

Aaye Tere Bhawan, Dede Apni Sharan

Aaye tere bhavan,
dede apni sharan.
Rahe tujh mein magan,
thaam kar yah charan.

Tan man mein bhakti jyot teri,
hey Mata jalti rahe.

Aaye tere bhavan, dede apni sharan.
Rahe tujh mein magan, thaam kar yah charan.
Tan man mein bhakti jyot teri,
he Mata jalti rahe.


Utsav manaaye, naache gaaye
chalo maiya ke dar jaayen.
Jai Mata Di, Jai Mata Di
jor se bolo, Jai Mata Di

Chaaro dishaye chaar khambe bane hai
Mandap pe aasman ki chaadar tani hai.
Suraj bhi kirano ki maala le aaya
kudarat ne dharati ka aangan sajaaya.

Karke tere darshan,
jhoome dharati gagan
San-nan gaaye pavan,
sabhi tujh mein magan

Tan man mein bhakti jyot teri,
hey Mata jalati rahe.


Phoolon ne rangon se rangoli sajai
saari dharti ye mahakaayi.
Jai Mata Di, Jai Mata Di
jor se bolo, Jai Mata Di

Charano mein bahati hai Ganga ki dhaara
Aarti ka deep lage har ek sitaara.

Puraviya dekho chavar kaise dulaaye
Rituyen bhi Mata ka jhula jhulaayen.

Pa ke bhakti ka dhan,
hua paavan yah man
kar ke tera sumiran,
khule antar nayan

Tan man mein bhakti jyot teri,
hey Mata jalati rahe.


Aaye tere bhavan,
dede apni sharan.
Rahe tujh mein magan,
thaam kar yah charan.

Tan man mein bhakti jyot teri,
hey Mata jalti rahe.


Aaye Tere Bhawan, Dede Apni Sharan

Anuradha Paudwal


Durga Bhajan