Aisa Pyar Baha De Maiya
Ya devi sarvabhuteshu
daya-roopen sansthita.
Namas-tasyai namas-tasyai
namas-tasyai namo namah.
Durga durgati door kar,
mangal kar sab kaaj.
Man mandir ujwal karo,
kripa karke aaj.
Aisa pyar baha de Maiya,
charano se lag jau mai.
Sab andhakaar mita de Maiya,
daras tera kar pau mai.
Aisa pyar baha de Maiya
Jag main aakar jag ko Maiya,
ab tak na pahchaan saka.
Kyon aaya hu kahaa hai jaana,
yah bhi na mai jaan saka.
Tu hai agam agochar Maiyaa,
kaho kaise lakh pau main
Aisa pyar baha de Maiya,
charano se lag jaoon main
Aisa pyar baha de Maiya
Kar kripa Jagdamba Bhawani,
main baalak naadaan hu.
Nahin aaraadhan, jap tap jaanu,
main avagun ki khaan hoo.
De aisa varadaan hey Maiya,
sumiran tera gau main.
Aisa pyar baha de Maiya,
charano se lag jaoon main
Aisa pyar baha de Maiya
Mai baalak tu Maiya meri,
nish din teri ot hai.
Teri kripa se hi mitegi,
bhitar jo bhi khot hai.
Sharan laga lo mujh ko Maiya,
tujh par bali bali jaau mai
Aisa pyar bahaa de Maiyaa,
charanon se lag jaoon main
Aisa pyar baha de Maiya
Aisa pyar baha de Maiya,
charano se lag jau mai.
Sab andhakaar mita de Maiya,
daras tera kar pau mai.
Aisa pyar baha de Maiya
Aisa Pyar Baha De Maiya
Durga Bhajan
- Ambe Tu Hai Jagdambe Kali - Durga Aarti
- Ya Devi Sarva Bhuteshu Mantra - Durga Mantra - Meaning
- Aigiri Nandini Lyrics - Mahishasura Mardini Stotram
- Jai Ambe Gauri - Ambe Maa Ki Aarti
- Durga Chalisa - Namo Namo Durge Sukh Karani
- Jag Janani Jai Jai Maa, Jag Janani Jai Jai
- Aarti Jag Janani Main Teri Gaun
- Aaye Tere Bhawan, Dede Apni Sharan
- Bhor Bhayi Din Chad Gaya, Meri Ambe
- Man Leke Aaya Mata Rani Ke Bhawan Mein
- Maa Jagdamba Ki Karo Aarti
- Aarti Maa Aarti Navdurga Teri Aarti
- Mangal Ki Seva Sun Meri Deva
- Maat Ang Chola Saje Har Ek Rang Chola Saaje
- Dharti Gagan Mein Hoti Hai Teri Jai Jaikar
- Durge Durghat Bhari Tujvin Sansari
- Kabhi Fursat Ho To Jagdambe
- Tere Darbar Mein Maiya Khushi Milti Hai
- Sachi Hai Tu Saccha Tera Darbar
- Man Tera Mandir Aankhen Diya Bati
- Chalo Bulawa Aaya Hai - Jai Mata Di
- Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye