Are Dwarpalo Kanhaiya Se Keh Do
(Dekho dekho ye garibi, ye garibi ka haal
Krishna ke dar pe visvaas leke aaya hoon
Mere bachapan ka yaar hai mera Shyam
Yahi soch kar mai aas karake aaya hoon)
Are dwarpalo, Kanhaiya se keh do,
Ke dar pe Sudama garib aa gaya hai
Bhatakate bhatakate na jaane kaha se
tumhaare mahal ke karib aa gaya hai
Are dwarpalo, Kanhaiya se keh do
ke dar pe Sudama garib aa gaya hai
Na sar pe hai pagadi, na tan pe hai jaama
Bata do kanhaiya ko naam hai Sudama
Tum ek baar Mohan se ja kar ke kahe do
Ke milane sakha bad-nasib aa gaya hai
Are dwarpalo, Kanhaiya se keh do
Ke dar pe Sudama garib aa gaya hai
Sunate hi daude chale aaye Mohan
Lagaaya gale se Sudama ko Mohan
Hua Rukmani ko bahut hi achambha
Yah mehamaan kaisa ajib aa gaya hai
Baraabar mein apne Sudama bithaye,
Charan aansuon se Shyam ne dhulaye
Na ghabarao pyaare jara tum Sudama,
Khushi ka samaa tere karib aa gaya hai
Are dwarpalo, Kanhaiya se keh do
Ke dar pe Sudama garib aa gaya hai
Are Dwarpalo Kanhaiya Se Keh Do
Lakha
Krishna Bhajan
- Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
- Aarti Kunj Bihari Ki - Shri Krishna Aarti - with Meanings
- Achyutam Keshavam Krishna Damodaram
- Mera Aapki Kripa Se Sab Kaam Ho Raha Hai
- Nand Ke Anand Bhayo, Jai Kanhaiya Lal Ki
- Madhurashtakam - Adharam Madhuram
- Main Aarti Teri Gaun, O Keshav Kunj Bihari
- Sanwali Surat Pe Mohan - Lyrics with Meanings
- Hey Gopal Krishna, Karu Aarti Teri
- Shyam Rang Me Rangi Chunariya
- Bata Mere Yaar Sudama Re
- Kali Kamli Wala Mera Yaar Hai
- Meri Vinti Yahi Hai Radha Rani
- Jari Ki Pagdi Bandhe Sundar Aankhon Wala
- Are Dwarpalo Kanhaiya Se Keh Do
- Phoolon Me Saj Rahe Hai, Shri Vrindavan Bihari
- Dena ho to Dijiye Janam Janam ka Saath
- Mujhe Apne Hi Rang Me Rang Le
- Natwar Nagar Nanda, Bhajo re Man Govinda