Charo Dham Ka Phal Payega
Charo dham ka phal payega
tu jis ke didaar se
Aisa teerth milega keval
maiya ke darbaar pe
Charo dham ka phal payega
tu jis ke didaar se
Aisa teerth milega keval
maiya ke darbaar pe
Jholi phaila ke jayega,
bhar bhar ke muraade layega
Sunati hai sab ki fariyaade,
raaja kya bhikhaari
Bhakt ki naiya doli jab bhi,
maa ne paar utaari
Is kalyug mein jis ke dar se
koi na jaaye khaali
Aur koi avtaar nahin
wo mata Sherowali
Kalayug mein bhaya aur
shanka bhaage jiske didaar se
Aisa teerth milega keval
maiya ke darabaar pe
Jholi phaila ke jayega,
bhar bhar ke muraade layega
Tod ke sab bandhan maaya ke
teri sharan jo aaye
Tujh ko arpan ho kar apne
soye bhaagya jagaye
Jahaan teri pooja wo
thal ambar se bhi paavan
Teri bhakti se ban jaaye
man khushiyon ka aangan
Jis ki sharan mein aake chhute
yah man har vikaar se
Aisa teerth milega keval
maiya ke darabaar pe
Jholi phaila ke jaayega,
bhar bhar ke muraade laayega
Teri mamata ka saagar
maiya kitna hai gahara
Usne sab kuchh paaya
tere dar pe jo bhi thahara
Mujhpe bhi upkaar karde
O mata Sherawali
Sunate hain maa bharati hain tu
sab ki jholiya khaali
Har koi sab kuchh pa jaata hai
jis ke didaar se
Aisa teerth milega keval
maiya ke darabaar pe
Jholi phaila ke jaayega,
bhar bhar ke muraade laayega
Jhoothi maaya jhoothe jag ki
tera sachcha dvaara
Ek baar jo aaye,
vo aata hai phir dubaara
Har koi apne bhaagya jagae
aa kar tere dar pe
Saare jag mein jimmedaari
maiya tere dar pe
Jo sundar hai, jo paavan hai
is saare sansaar se
Aisa teerth milega keval
maiya ke darabaar pe
Jholi phaila ke jayega,
bhar bhar ke muraade layega
Charo dham ka phal payega
tu jis ke didaar se
Aisa teerth milega keval
maiya ke darabaar pe
Charo Dham Ka Phal Payega
Durga Bhajan
- Ambe Tu Hai Jagdambe Kali - Durga Aarti
- Ya Devi Sarva Bhuteshu Mantra - Durga Mantra - Meaning
- Aigiri Nandini Lyrics - Mahishasura Mardini Stotram
- Jai Ambe Gauri - Ambe Maa Ki Aarti
- Durga Chalisa - Namo Namo Durge Sukh Karani
- Jag Janani Jai Jai Maa, Jag Janani Jai Jai
- Aarti Jag Janani Main Teri Gaun
- Aaye Tere Bhawan, Dede Apni Sharan
- Bhor Bhayi Din Chad Gaya, Meri Ambe
- Man Leke Aaya Mata Rani Ke Bhawan Mein
- Maa Jagdamba Ki Karo Aarti
- Aarti Maa Aarti Navdurga Teri Aarti
- Mangal Ki Seva Sun Meri Deva
- Maat Ang Chola Saje Har Ek Rang Chola Saaje
- Dharti Gagan Mein Hoti Hai Teri Jai Jaikar
- Durge Durghat Bhari Tujvin Sansari
- Kabhi Fursat Ho To Jagdambe
- Tere Darbar Mein Maiya Khushi Milti Hai
- Sachi Hai Tu Saccha Tera Darbar
- Man Tera Mandir Aankhen Diya Bati
- Chalo Bulawa Aaya Hai - Jai Mata Di
- Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye