Duniya Me Dev Hazaro Hai, Bajrangbali ka Kya Kehna
Duniya me dev hazaro hai,
Bajrangbali ka kya kehna.
Inaki shakti ka kya kahana,
inaki bhakti ka kya kahana.
Duniya me dev hazaro hai
Bajrangbali ka kya kehna.
Ye saat samundar laangh gae,
ye gadh Lanka me kood gae.
Raavan ko daraana kya kahana,
Lanka ko jalaana kya kahana.
Inaki shakti ka kya kahanaa,
inaki bhakti ka kya kahanaa.
Duniya me dev hazaaro hai,
Bajrangbali ka kya kehna.
Jab Lakshman ji behosh huye,
sanjivani booti laane gae.
Parabat ko uthaana kya kahana
lakshman ko jilaana kya kahana.
Inaki shakti ka kyaa kahana,
inaki bhakti ka kyaa kahana.
Duniyaa mein dev hazaro hai,
Bajrang bali ka kya kehna.
Bhakto inake sine me,
Siyaram ki jodi baithi hai.
Ye Ram diwaana kya kahanaa,
gun gaaye jamaana kya kahana.
Bajrangbali ka Kya Kehna
Inaki shakti ka kya kahana,
inaki bhakti ka kya kahana.
Duniya me dev hazaro hai,
Bajrangbali ka kya kehna.
Duniya Me Dev Hazaro Hai, Bajrangbali ka Kya Kehna
Jai Shankar Chaudhary
Hanuman Bhajan
- Duniya Chale Na Shri Ram Ke Bina
- Aaj Mangalwar Hai, Mahaveer Ka Vaar Hai
- Hanuman Chalisa - Jai Hanuman Gyan Gun Sagar
- Mangal Murati Ram Dulare
- Hanuman Aarti - Aarti Kije Hanuman Lala Ki
- Aana Pawan Kumar Hamare Hari Kirtan Mein
- Aa Laut Ke Aaja Hanuman (3 Versions)
- Shri Ram Janki Baithe Hai Mere Seene Mein
- Aagya Nahi Hai Maa Mujhe Kisi Aur Kaam Ki
- Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan
- Hanuman Ashtak - Sankat Mochan Naam Tiharo
- Jinke Man Me Base Shri Ramji
- Duniya Ke Malik Ko Bhagwan Kehte Hai