Duniya Rachne Wale Ko Bhagwan Kehte Hai

Duniya Rachne Wale Ko Bhagwan Kehte Hai – Lyrics in English

Duniya Rachne Wale Ko Bhagwan Kehte Hai

Duniya rachne wale ko bhagwan kehte hai,
aur sankat harne wale ko Hanuman kehte hain
Sankat harne wale ko Hanuman kehte hain

Duniya rachne wale ko bhagwan kehte hain,
aur sankat harne wale ko Hanuman kehte hain
Sankat harne wale ko Hanuman kehte hain


Ho jaate hai jisake apane paraaye,
Hanuman usko kanth lagaaye

Jab rooth jaaye sansaar saara,
Bajarangbali tab dete sahaara

Apne bhakto ka Bajarangi maan karate hai
Sankat harne wale ko Hanuman kehte hain

Duniya rachne wale ko bhagwan kehte hai,
aur sankat harne wale ko Hanuman kehte hain


Duniya mein kaam koi aisa nahin hai,
Hanuman ke jo bas mein nahin hai

Jo cheej maango, pal mein milegi,
Jholi ye khaali khushiyon se bharegi

Sachche man se jo bhi inka dhyaan karate hai
Sankat harne wale ko Hanuman kehte hain

Duniya rachne wale ko bhagwan kehte hai,,
aur sankat harne wale ko Hanuman kehte hain


Kat jaaye sankat inki sharan mein,
Baith ke dekho bajarang ke charan mein

Bhakt ki baaton ko jhooth mat maano
Phir na phansoge jivan maran mein

Aur devta chitt na dharai
Hanumant se sarv sukh karai

Inke siney mein hardam Siya Ram rahate hai
Sankat harne wale ko Hanuman kehte hain

Duniya rachne wale ko bhagwan kehte hai,
aur sankat harne wale ko Hanuman kehte hain
Sankat harne wale ko Hanuman kehte hain
Sankat harne wale ko Hanuman kehte hain


Sankat kate mite sab pira,
Jo sumirai hanumat bal bira


Duniya Rachne Wale Ko Bhagwan Kehte Hai

Lakha


Hanuman Bhajan