Ganpati Ki Seva Mangal Meva - Shri Ganesh Aarti

Ganpati Ki Seva Mangal Meva – Lyrics in English

Ganpati Ki Seva Mangal Meva – Shri Ganesh Aarti

Ganpati ki seva mangal meva,
seva se sab vighna tare.

Tin lok taitis devta,
dwar khade sab arj kare.
(Tin lok ke sakal devta,
dwar khade nit arj kare.)

Riddhi-Siddhi dakshin vaam viraaje,
aru aanand so chavar kare.
Dhoop deep aur liye aarti,
bhakt khade jaykaar kare.

Gud ke modak bhog lagat hai,
mushak vaahan chadha kare.
Saumya-roop seva Ganpati ki,
vighna bhaag-ja door pare.

Bhaado maas aur shukla chaturthi,
din dopaara poor pare.
Liyo janm Ganpati prabhuji ne,
Durga man anand bhare.

Adbhut baaja baja Indra ka,
dev vadhu jahan gaan kare.
Shri Shankar ke anand upajyo,
naam sunya sab vighna tare.

Aan vidhaata baithe aasan,
Indra apsara nritya kare.
Dekhat ved Brahmaaji jaako,
vighna vinaashak naam dhare.

Ekadant Gajvadan Vinaayak,
trinayan roop anoop dhare.
Pagathambha sa udar pusht hai,
dekh Chandrama haasya kare.

De shraap shri Chandradev ko,
kalaahin tatkaal karen.
Chaudah lok me phire Ganpati,
tin bhuvan mein raajya kare.

Ganpati ki pooja pahle karani,
kaam sabhi nirvighn sarai.
Shri prataap Ganpati ji ko,
haath jod stuti kare.

Ganpati ki seva mangal meva,
seva se sab vighna tare.

Tin lok taitis devta,
dwar khade sab arj kare.
(Tin lok ke sakal devta,
dwar khade nit arj kare.)

Bolo Gajanan Maharaj ki Jai

Shlok:
Vakratund Mahaakaay,
Suryakoti Samaprabhah.

Nirvaghnam kuru me dev,
sarva kaaryeshu sarvadaa.

Ganpati ki seva mangal meva,
seva se sab vighna tare.
Tin lok taitis devta,
dwar khade sab arj kare.


Ganpati Ki Seva Mangal Meva – Shri Ganesh Aarti

Suresh Wadkar


Ganesh Bhajan