Jagat Ke Rang Kya Dekhu
Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.
Karu main pyaar kis kis se,
tera ek pyaar kafi hai.
Nahi chaahiye ye duniya ke,
niraale rang dhang mujhko.
Chali jaau main Vrindavan,
tera darbaar kafi hai.
Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.
Karu main pyaar kis kis se,
tera ek pyaar kafi hai.
Jagat ke saaj baajo se,
huye hai kaan ab bahre.
Kahaan ja ke sunoo anhad,
teri jhankaar kafi hai.
Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.
Karu main pyaar kis kis se,
tera ek pyaar kafi hai.
Jagat ke rishtedaaron ne,
bichhaaya jaal maaya ka.
Tere bhakto se ho preeti,
tera parivaar kafi hai.
Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.
Karoo main pyaar kis kis se,
tera ek pyaar kafi hai.
Jagat ki jhooti roshani se,
hain aankhe bhar gayi meri.
Meri aankhon mein ho hardam,
teri chamkaar kafi hai.
Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.
Karoo main pyaar kis kis se,
tera ek pyaar kafi hai.
Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.
Karu main pyaar kis kis se,
tera ek pyaar kafi hai.
Jagat Ke Rang Kya Dekhu
Vinod Agarwal
Krishna Bhajan
- Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
- Aarti Kunj Bihari Ki - Shri Krishna Aarti - with Meanings
- Achyutam Keshavam Krishna Damodaram
- Mera Aapki Kripa Se Sab Kaam Ho Raha Hai
- Nand Ke Anand Bhayo, Jai Kanhaiya Lal Ki
- Madhurashtakam - Adharam Madhuram
- Main Aarti Teri Gaun, O Keshav Kunj Bihari
- Sanwali Surat Pe Mohan - Lyrics with Meanings
- Hey Gopal Krishna, Karu Aarti Teri
- Shyam Rang Me Rangi Chunariya
- Bata Mere Yaar Sudama Re
- Kali Kamli Wala Mera Yaar Hai
- Meri Vinti Yahi Hai Radha Rani
- Jari Ki Pagdi Bandhe Sundar Aankhon Wala
- Are Dwarpalo Kanhaiya Se Keh Do
- Phoolon Me Saj Rahe Hai, Shri Vrindavan Bihari
- Dena ho to Dijiye Janam Janam ka Saath
- Mujhe Apne Hi Rang Me Rang Le
- Natwar Nagar Nanda, Bhajo re Man Govinda