Mera Man Panchi Ye Bole
Mera man panchhi ye bole
Mera man panchi ye bole, ud Vrindavan jau
Braj ki lata pata mein mai
Radhe Radhe gaoon
Mai Radhe Radhe gaoon,
mai Shyama Shyama gaoon
Mera man panchhi ye bole
Vrindavan ki mahima pyaare koi na jaane
Prem nagariya mann Mohan ki premi pahchaane
Braj galiyon mein jhoom jhoom ke,
man ki tapan bujhaoon
Braj ki lata pata mein mai
Radhe Radhe gaoon
Mai Radhe Radhe gaoon,
mai Shyama Shyama gaoon
Mera man panchhi ye bole
Nidhi vanaji mein ja Kanhaiya raas rachaate hai
Prem bhari apani baansuriya aap bajaate hai
Raadha sang naache saanwariya,
darshan karake aaoo
Braj ki lata pata mein mai,
Radhe Radhe gaoon
Mai Radhe Radhe gaoon,
mai Shyama Shyama gaoon
Mera man panchhi ye bole
Chhail chhabile Krishna piya teri yaad sataati hai
Kuhoo kuhoo kar kaali koyal man tadapaati hai
Chhin liya sab toone mera,
yaar kaha ab jaoon
Braj ki lata pata mein mai,
Radhe Radhe gaoon
Mai Radhe Radhe gaoon,
mai Shyama Shyama gaoon
Mera man panchhi ye bole
Radhe Radhe japale manava
duhkh mit jaayenge
Raadha Radha sunke Kanha daude aayenge
Pyaare Radha raman tumhaare,
charano mein rum jaoon
Braj ki lata pata mein mai,
Radhe Radhey gaoon
Mai Radhe Radhey gaoon,
mai Shyama Shyama gaoon
Mera man panchhi ye bole
Mera man panchi ye bole ud Vrindavan jau
Braj ki lata pata mein mai Radhe Radhe gaoon
Mai Radhey Radhe gaoon,
mai Shyama Shyama gaoon
Mera man panchhi ye bole
Mera Man Panchi Ye Bole
Devkinandan Thakur
Krishna Bhajan
- Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
- Aarti Kunj Bihari Ki - Shri Krishna Aarti - with Meanings
- Achyutam Keshavam Krishna Damodaram
- Mera Aapki Kripa Se Sab Kaam Ho Raha Hai
- Nand Ke Anand Bhayo, Jai Kanhaiya Lal Ki
- Madhurashtakam - Adharam Madhuram
- Main Aarti Teri Gaun, O Keshav Kunj Bihari
- Sanwali Surat Pe Mohan - Lyrics with Meanings
- Hey Gopal Krishna, Karu Aarti Teri
- Shyam Rang Me Rangi Chunariya
- Bata Mere Yaar Sudama Re
- Kali Kamli Wala Mera Yaar Hai
- Meri Vinti Yahi Hai Radha Rani
- Jari Ki Pagdi Bandhe Sundar Aankhon Wala
- Are Dwarpalo Kanhaiya Se Keh Do
- Phoolon Me Saj Rahe Hai, Shri Vrindavan Bihari
- Dena ho to Dijiye Janam Janam ka Saath
- Mujhe Apne Hi Rang Me Rang Le
- Natwar Nagar Nanda, Bhajo re Man Govinda