Nand Ke Ghar Janme Kanhaiya
Gokul mein bajat hai badhaiya,
Nand ke ghar janme Kanhaiya
Aaye vasudha pe taaran-haar,
paar Bramha ka hua avataar.
Banee jaaki Yashoda maiya,
Nand ke ghar janme Kanhaiya.
Gokul mein bajat hai badhaiya,
Nand ke ghar janme Kanhaiya
Kaisee hari ne leela rachayee,
Gop gwaal bane hari rayee.
Banyo Daau jaako bad bhaiya,
Nand ke ghar janme Kanhaiya.
Gokul mein bajat hai badhaiya,
Nand ke ghar janme Kanhaiya
Saari nagari mein dhoom machi bhari,
naache gaaye sab nar-naari.
Pag thirakat hai ta ta thaiya,
Nand ke ghar janme Kanhaiya.
Gokul mein bajat hai badhaiya,
Nand ke ghar janme Kanhaiya
Lage toran pataaka nagar mein,
mangalaachaar hove ghar ghar mein
Shyaam jee kee leve sab balaayia,
Nand ke ghar janme Kanhaiya.
Gokul mein bajat hai badhaiya,
Nand ke ghar janme Kanhaiya
Baba Nandji baante mithayiee,
aayee aayee ra shubh ghadee aayee.
Bahe mand sugandh poorvaiya,
Nand ke ghar janme Kanhaiya.
Gokul mein bajat hai badhaiya,
Nand ke ghar janme Kanhaiya
Nand Ke Ghar Janme Kanhaiya
Krishna Bhajan
- Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
- Aarti Kunj Bihari Ki - Shri Krishna Aarti - with Meanings
- Achyutam Keshavam Krishna Damodaram
- Mera Aapki Kripa Se Sab Kaam Ho Raha Hai
- Nand Ke Anand Bhayo, Jai Kanhaiya Lal Ki
- Madhurashtakam - Adharam Madhuram
- Main Aarti Teri Gaun, O Keshav Kunj Bihari
- Sanwali Surat Pe Mohan - Lyrics with Meanings
- Hey Gopal Krishna, Karu Aarti Teri
- Shyam Rang Me Rangi Chunariya
- Bata Mere Yaar Sudama Re
- Kali Kamli Wala Mera Yaar Hai
- Meri Vinti Yahi Hai Radha Rani
- Jari Ki Pagdi Bandhe Sundar Aankhon Wala
- Are Dwarpalo Kanhaiya Se Keh Do
- Phoolon Me Saj Rahe Hai, Shri Vrindavan Bihari
- Dena ho to Dijiye Janam Janam ka Saath
- Mujhe Apne Hi Rang Me Rang Le
- Natwar Nagar Nanda, Bhajo re Man Govinda