Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani
Prabhu kar krpa paanvari dinhi
saadar bharat sheesh dhari linhi.
Ram bhakt le chala re,
Ram ki nishani,
sheesh par khadaoon,
ankhiyon mein paani
Ram bhakt le chala re, Ram ki nishani.
Sheesh khadaoo le chala aise,
Ram Siya ji sang ho jaise
ab inaki chhaanv mein rahegi rajdhani,
Ram bhakt le chala re, Ram ki nishani
Pal chhin laage sadiyon jaise,
chaudah varash katenge kaise
jaane samay kya khel rachega,
kaun marega, kaun bachega
Kab re milan ke phool khilage,
nadiya ke do phool milenge.
Ji karta hai yahi bas jaye,
hil mil chaudah varash bitayen.
Raam bin kathin hai ek ghadi bitaani,
Ram bhakt le chala re, Ram ki nishani
Tan man bachan, umang anuraaga,
dhir dhurandhar dhiraj tyaaga
bhavana mein bah chale, dhir veer gyaani,
Ram bhakt le chala re, Ram ki nishani
Ram bhakt le chala re, Ram ki nishani,
sheesh par khadaoon, ankhiyon mein paani
Ram bhakt le chala re, Ram ki nishani.
Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani
Ravindra Jain
Ram Bhajan
- Shri Ramchandra Kripalu Bhajman
- Raghupati Raghav Raja Ram - Shri Ram Dhun
- Shri Ram Janki Baithe Hai Mere Seene Mein
- Ram Naam ke Heere Moti – Krishna Naam ke
- Suraj Ki Garmi Se Jalte Huye Tan Ko
- Hey Ram, Hey Ram, Jag Me Sacho Tera Naam
- Thumak Chalat Ramchandra
- Bhaye Pragat Kripala, Deen Dayala
- Ram Naam Ati Meetha Hai
- Sukh Ke Sab Sathi Dukh Me Na Koi
- Kabhi Kabhi Bhagwan Ko Bhi
- Ram Naam Ke Hire Moti - 2
- Sitaram Sitaram Kahiye
- Hum Ramji Ke, Ramji Hamare Hai
- Tera Ramji Karenge Beda Paar