Shri Ram Janki Baithe Hai Mere Seene Mein

Shri Ram Janki Baithe Hai Mere Seene Mein – Lyrics in English

Shri Ram Janki Baithe Hai Mere Seene Mein

Shree Ram chandraji maharaj ke bhare darbaar mein, Vibhishan ne taana maara – aye Bajarangi kya tere man mein bhi Ram hai?

Hanumanji ne Shree Ram ka naam liya aur seena phaada, bole le dekh – == Jay Shree Ram ==


Nahin chalao baan vyang ke, aye Vibhishan,
taana na sah paoon..
Kyon todee hai yah maala,
tujhe ai lankapati batalaoon.

Mujh mein bhi hai, tujh mein bhi hai,
sab mein hai samajhaoon

Mujh mein bhee hai, tujh mein bhee hai,
sab mein hai samajhaoon.
Ai lankaapati vibheeshan, le dekh,
main tujh ko aaj dikhaoon.

Aur veer bajarangee ne seena cheer diya aur bole le dekh
== Jay Shree Ram ==


Shri Ram Janki baithe hai mere seene mein,
Shri Ram Janki baithe hai mere seene mein,
dekh lo mere dil ke nagine mein.

Dekh lo mere dil ke nagine mein,
Shri Ram Janki baithe hai mere seene mein.
Mere Ram…


(Aye Vibhishan)
Mujh ko keerti na vaibhav, na yash chaahiye,
Ram ke naam ka mujh ko ras chaahiye.
Sukh mile aise amrit ko peene mein,
Shri Ram Janki baithe hai mere seene mein.
Mere Ram…


Ram rasiya hoon main, Ram sumiran karoo,
Siya-Ram ka sada hee mai chintan karoo.
Anamol koee bhi cheej mere kaam ki nahin
dikhati agar usame chhavi Siya Raam ki nahi

Ram rasiya hoon main, Ram sumiran karoo,
Siya-Ram ka sada hee mai chintan karoo.
Sachcha anand hai aise jeene mein,
Shri Ram Janki baithe hai mere seene mein.


Phaad seena hain sab ko yah dikhala diya,
bhakti mein masti hain bedhadak dikhala diya.
Koyee masti na saagar meene mein,
Shri Ram Janki baithe hai mere seene mein॥


Shri Ram Jankibaithe hai mere seene mein,
dekh lo mere dil ke nagine mein.
Dekh lo mere dil ke nagine mein,
Shri Ram Janki baithe hai mere seene mein.
Mere Ram…


Shri Ram Janki Baithe Hai Mere Seene Mein

Lakhbir Singh Lakha


Ram Bhajan