Shyam Bansi Bajate Ho Ya Mujhe Bulate Ho
Shyam bansi bajate ho,
ya mujhe bulate ho.
Diwana banaate ho,
saari raat jagaate ho.
Raadhe paayal bajaati ho,
ya mujhe bulaati ho.
Saara din tadapaati ho,
saari raat jagaati ho.
Shyam bansi bajate ho
Teri murali ki dhun mujh ko
mere man ka meet banaati hai.
Teri paayal ki jhanakaar
to mujh ko naach naachati hai.
Tum raas rachate ho,
ya mujhe bulate ho.
Shyam bansi bajate ho
ya mujhe bulate ho.
Teri kaali-kaali aankhon mein
ye kaala kaala baadal hain.
Ye kaala kaala baadal nahi
meri aankhon ka ye kaajal hai.
Tum preet badhati ho
ya mujhe bulaati ho.
Raadhe payaal bajaati ho.
Tujh me sama jaoon main kaanha,
tum mujh me hee sama jao.
Raadhe hum dono ek hai
ek roop mein, raadhe aa jao.
Leke avataar aate ho
ya mujhe bulate ho.
Shyam bansi bajate ho,
ya mujhe bulate ho.
Shyam bansi bajate ho,
ya mujhe bulate ho.
Diwana banaate ho,
saari raat jagaate ho.
Shyam bansi bajate ho
Shyam Bansi Bajate Ho Ya Mujhe Bulate Ho
Krishna Bhajan
- Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
- Aarti Kunj Bihari Ki - Shri Krishna Aarti - with Meanings
- Achyutam Keshavam Krishna Damodaram
- Mera Aapki Kripa Se Sab Kaam Ho Raha Hai
- Nand Ke Anand Bhayo, Jai Kanhaiya Lal Ki
- Madhurashtakam - Adharam Madhuram
- Main Aarti Teri Gaun, O Keshav Kunj Bihari
- Sanwali Surat Pe Mohan - Lyrics with Meanings
- Hey Gopal Krishna, Karu Aarti Teri
- Shyam Rang Me Rangi Chunariya
- Bata Mere Yaar Sudama Re
- Kali Kamli Wala Mera Yaar Hai
- Meri Vinti Yahi Hai Radha Rani
- Jari Ki Pagdi Bandhe Sundar Aankhon Wala
- Are Dwarpalo Kanhaiya Se Keh Do
- Phoolon Me Saj Rahe Hai, Shri Vrindavan Bihari
- Dena ho to Dijiye Janam Janam ka Saath
- Mujhe Apne Hi Rang Me Rang Le
- Natwar Nagar Nanda, Bhajo re Man Govinda