Sawre Ko Dil Me Basa Kar To Dekho
Sawre ko dil me basa kar to dekho,
duniya se man ko hata kar to dekho.
Bada hee dayaalu hai baanke bihari,
ek baar vrindavan aa kar to dekho.
Baanke bihaari bhakton ke diladar,
sada lutaate hain kripa ke bhandaar.
Meera ne jaise giridhar ko paaya,
pyaala zahar ka amrit banaaya.
Tum apanee hasti mita kar to dekho,
ek baar vrindaavan aa kar to dekho.
Teri pal mein jholi wo bhar dega,
duhkh dard jindagi ke vo har lega.
Chaukhat pe daaman phaila kar to dekho,
ek baar vridaavan aa kar to dekho.
Shyaam bina tera koyee na apana,
ye duniya hai sab jhuta sapana.
Najaro se parada hataakar to dekho,
ek baar vrndaavan aa kar to dekho.
Chitra vichitra ka to bas yahi kahana,
prabhu charano se kahi door nahin rahana.
Jindagi yah bandagi mein mita kar to dekho,
ek baar vrndaavan aa kar to dekho.
Sawre ko dil me basa kar to dekho,
duniya se man ko hata kar to dekho.
Bada hee dayaalu hai baanke bihari,
ek baar vrindavan aa kar to dekho.
Sawre Ko Dil Me Basa Kar To Dekho
Chitra Vichitra Ji Maharaj
Krishna Bhajan
- Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
- Aarti Kunj Bihari Ki - Shri Krishna Aarti - with Meanings
- Achyutam Keshavam Krishna Damodaram
- Mera Aapki Kripa Se Sab Kaam Ho Raha Hai
- Nand Ke Anand Bhayo, Jai Kanhaiya Lal Ki
- Madhurashtakam - Adharam Madhuram
- Main Aarti Teri Gaun, O Keshav Kunj Bihari
- Sanwali Surat Pe Mohan - Lyrics with Meanings
- Hey Gopal Krishna, Karu Aarti Teri
- Shyam Rang Me Rangi Chunariya
- Bata Mere Yaar Sudama Re
- Kali Kamli Wala Mera Yaar Hai
- Meri Vinti Yahi Hai Radha Rani
- Jari Ki Pagdi Bandhe Sundar Aankhon Wala
- Are Dwarpalo Kanhaiya Se Keh Do
- Phoolon Me Saj Rahe Hai, Shri Vrindavan Bihari
- Dena ho to Dijiye Janam Janam ka Saath
- Mujhe Apne Hi Rang Me Rang Le
- Natwar Nagar Nanda, Bhajo re Man Govinda